AHSAAS

1. Hum Dosti Ehsaan Wafa Bhool Gaye Hai,

Zinda To Hai Jine Ki Ada Bhool Gaye Hai,
Hum Dosti Ehsaan Wafa Bhool Gaye Hai


Khushbu Jo Lutati Hai Masalti Hai Usi Ko,
Ehsaan Ka Badla Yahi Milta Hai Kali Ko,
Ehsaan To Leete Hai Sila Bhool Gaye Hai


Karte Hai Mohabat Ka Aur Ehsaan Ka Sauda,
Matlab Ke Liye Karte Hai Imaan Ka Sauda,
Daar Maut Ka Aur Khaufe Khuda Bhool Gaye Hai,


Ab Wo Na Pagalte Koi Pathar Nahi Hota,
Ab Koi Bhi Kurban Kisi Par Nahi Hota,
Yuh Bhatke Hai Manjil Ka Pata Bhool Gaye Hai



2. Shaphak Ho, Phool Ho, Shabnam Ho, Mhatab Ho Tum
Nahi Jawab Tumhara Ke Lajawab Ho Tum


Main Kaise Kahu Jane Man, Tera Dil Sune Meri Baat,
Yeh Aakho Ki Shayahi, Yeh Hoto Ka Ujala,
Yeh Hi Hai Mere Din Raat, Main Kaise Kahu Jane Man


Kash Tum Ko Pats Ho, Tere Rukhe Roshan Se,
Tare Khile Hai, Diye Jale Hai,
Dil Mein Mere Kaise Kaise


Mahekne Lagi Hai Wahi Se Meri Raate,
Jaha Se Hua Tera Saath,
Main Kaise Kahu Jane Man


Paas Tere Aya Tha, Mein To Kaato Pe Chal Ke,
Lakin Yaha To Kadmo Ke Niche,
Pharsh Bich Gaye Gul Ke


Ke Ab Zindgani Hai, Kasme Bahara,
Lo Haatho Rahe Tera Haath

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें