ARTH

1. Jhuki Jhuki Si Nazar Beqaraar Hai Ke Nahin
Daba Daba Sa Sahee Dil Mein Pyaar Hai Ke Nahin

Tu Apne Dil Ki Jawaan Dhadkanon Ko Gin Ke Bata
Meri Tarah Tera Dil Beqaraar Hai Ke Nahin


Wo Pal Ke Jis Mein Mohabbat Jawaan Hoti Hai
Us Ek Pal Ka Tujhe Intezaar Hai Ke Nahin


Teri Umeed Pe Thukraa Raha Hoon Duniya Ko
Tujhe Bhee Apne Pe Ye Aitbaar Hai Ke Nahin






2. Koi Ye Kaise Bataaye Ke Wo Tanha Kyoon Hai

Wo Jo Apna Thaa Wahi Aur Kisi Ka Kyoon Hai
Yahi Duniya Hai To Phir Aisee Ye Duniya Kyoon Hai
Yahi Hota Hai To Aakhir Yahi Hota Kyoon Hai


Ik Zara Haath Badha Den To Pakad Le Daaman
Uske Seene Mein Sama Jaaye Hamari Dhadkan
Itni Kurbat Hai To Phir Faaslaa Itna Kyoon Hai

Dil-e-barbaad Se Nikla Nahin Ab Tak Koi
Ik Loote Ghar Pe Diya Karta Hai Dastak Koi
Aas Jo Toot Gayee Phir Se Bandhaata Kyoon Hai


Tum Asarrat Ka Kaho Ya Ise Gham Ka Rishta
Kehte Hain Pyaar Ka Rishta Hai Janam Ka Rishta
Hai Janam Ka Jo Ye Rishta To Badalta Kyoon Hai




3. Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey?


Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chupaaye Rakhaa,
Jinko Ik Umr Kalejey Se Lagaaye Rakhaa,
Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Tha Pani Ki Tarah,
Yaad They Mujhko Jo Paigaam-e-zubaani Ki Tarah,
Mujh Ko Pyarey They Jo Anmol Nishaani Ki Tarah.


Tuune Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachakar Likhey,
Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhey.
Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Mein Uthkar Likhey


Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey?
Pyar Mein Duubey Huye Khat Main Jalaata Kaisey?
Tere Haathon Ke Likhey Khat Main Jalaata Kaisey?


Tere Khat Aaj Main Ganga Mein Bahaa Aayaa Hoon,
Aag Behetey Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon.






4. Too Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Reh Jaayega
Door Tak Tanhaaeeyon Ka Silsila Reh Jaayega


Dard Ki Saari Tahe Aur Saare Guzre Haadse
Sab Dhooan Ho Jaayenge Ik Faakeya Reh Jaayega


Yun Bhee Hoga Wo Mujhe Dil Se Bhula Dega Magar
Ye Bhee Hoga Khud Usee Mein Ik Khala Reh Jaayega


Daayre Inkaar Ke Iqraar Kee Sargoshiyaan
Ye Agar Toote Kabhee To Faaslaa Reh Jaayega






5. Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Kya Gham Hai Jisko Chupaa Rahe Ho


Aankhon Mein Namee Hansi Labon Par
Kya Haal Hai Kya Dikhaa Rahe Ho

Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
Ye Ashq Jo Peete Rahe Ho


Jin Zakhmon Ko Waqt Bhar Chala Hai
Tum Kyoon Unhe Chede Jaa Rahe Ho


Rekhaaon Ka Khel Hai Muqqaddar
Rekhaaon Se Maat Khaa Rahe Ho

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें