DIL KAHIN HOSH KAHI

1. Aayina Dekh Ke Bole,
Yeh Savarne Wale,
Ab To Bemaut Marenge,
Mere Marne Wale,


Dekh Ke Tumko,
Hosh Mein Aana,
Bhool Gaye,
Yaad Rahe Tum,
Aur Jamana Bhool Gaye,


Jab Samne Tum, Aa Jate Ho,
Kya Jane Kya Ho Jata Hai,
Kuch Mil Jata Hai,
Kuch Kho Jata Hai,
Kya Jane Kya Ho Jata Hai,


Chaha Tha Yeh Kahege,
Socha Tha Who Kahege,
Aaye Who Samne To,
Kuch Bhi Na Keh Sake Bas,
Dekha Kiye Unhe Hum,
Dekh Kar Tum Ko Yakin Hota Hai,
Koi Itna Bhi Haseen Hota Hai,
Dekh Pate Hai Kaha Hum Tumko,
Dil Kahi Hosh Kahi Hota Hai,


Aa Kar Chale Na Jana,
Ayese Nahi Satana,
Dekar Hasee Laboo Ko,
Aakho Ko Mat Rulana,


Dena Na Bekarari,
Dil Ka Karar Ban Ke,
Yaado Mein Kho Na Jana,
Tum Intajar Banke,


Bhool Kar Tumko Na Jee Payege,
Saath Tum Dogi Jaha Hum Jayege,
Hum Koi Waqt Nahi Hai Humdum,
Jab Bulaoge Chale Aayege.





2. Kahi Kahi Se Har Chera, Tum Jaisa Lagta Hai,
Tum Ko Bhool Na Payege Hum, Ayesa Lagta Hai,
Aaisa Bhi Ek Raang Hai, Jo Karta Hai Bate Bhi,
Jo Bhi Isko Pahen Le Wo Apna Sa Lagta Hai,

Tum Ko Bhool Na Payege Hum, Ayesa Lagta Hai,
Kahi Kahi Se Har Chera, Tum Jaisa Lagta Hai,
Tum Ko Bhool Na Payege Hum, Ayesa Lagta Hai,


Aur To Sab Kuch Theek Hai Lakin,
Kabhi Kabhi Yu Hi Chalta Phirata Shaher,
Achanak Achanak Tanha Lagta Hai,
Tum Ko Bhool Na Payege Hum, Ayesa Lagta Hai,


Ab Bhi Yu Milte Hai Humse Phool Chameli,
Jaise Inse Apna Koi Rista Lagta Hai,
Tum Ko Bhool Na Payege Hum, Ayesa Lagta Hai

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें