Face To Face

1. Be Sabab Bat Badhane Ki Zaroorat Kya Hai

Hum Khafa Kab The Manane Ki Zaroorat Kya Hai


Aap Ke Dam Se To Duniya Ka Bharam Hai Qayam
Aap Jab Hain To Zamane Ki Zaroorat Kya Hai

Tera Koocha, Tera Dar, Teri Gali Kafi Hai
Be-thikanon Ko Thikane Ki Zaroorat Kya Hai


Dil Se Milne Ki Tamanna Hi Nahin Jab Dil Mein
Hath Se Hath Milane Ki Zaroorat Kya Hai

Rang Aankhoon Ke Liye, Boo Hai Damaghoon Ke Liye
Fool Ko Haath Lagane Ki Zaroorat Kya Hai






2. Dair-o-haram Main Basne Walo
Mai Kharon Mein Photo Na Dalo


Toofan Se Hum Takraenge
Tum Apni Kashti Ko Sambhalo


Maikhane Mein Aaye Wayez
In Ko Bhi Insane Bano Lo


Aariz-o-lab Sada Rahne Do
Taj Mahal Pe Rang Na Dalo






3. Koi Mausam Aisa Aaey
Us Ko Apne Saath Jo Laaey


Logon Se Taareef Suni Hai
Us Se Mil Kar Dekha Jaaey


Aaj Bhi Par Bojh Bahut Hai
Aaj Bhi Shayad Neend Na Aaey


Hal Hai Dil Ka Jugnoo Jaisa
Jalta Jaiy Bujhta Jaaey

Beete Lamhey Kuchh Aise Hain
Khushboo Jaise Haat Na Aaey






4. Pyar Ka Pahala Khat Likhne Mein, Waqt To Lagta Hai
Naye Parindonko Udhne Mein Waqt To Lagta Hai


Jism Ki Baat Nahin Thi, Us Ke Dil Tak Jaana Tha
Lambi Doori Tai Karne Mein Waqt To Lagta Hai


Ganth Agar Lag Jaye To Phir Rishte Hon Ya Dori
Laakh Karen Koshish Khulne Mein Waqt To Lagta Hai


Hum Ne Ilaaj-e-zakam-e-dil To Dhoondh Liya Lekin
Gahre Zakhmon Ko Bharne Mein Waqt To Lagta Hai






5. Sachchi Baat Kahi Thi Maine
Logon Ne Sooli Pe Chadhaya
Mujh Ko Zahr Ka Jam Pilaya
Phir Bhi Un Ko Chain Na Aaya






Sachchi Baat Kahi Thi Maine
Le Ke Jahan Bhi, Waqt Gaya Hai
Zulm Mila Hai, Zulm Ssaha Hai
Sach Ka Ye Inaam Mila Hai


Sachchi Baat Kahi Thi Maine
Sab Se Behtar Kabhi Na Ban Na
Jag Ke Rahbar Kabhi Na Ban Na
Peer Payambar Kabhi Na Ban Na

Sachchi Baat Kahi Thi MaineChup Rah Kar Hi Waqt Guzaro


Sach Kahne pe Jaan Mat Waro
Kuch To Seekho Mujh Se Yaro



6. Sheikh-ji-thodi Si Pee Kar Aaiye
Mai Hai Kya Shai Phir Hamein Batlaieye


Aap Kyon Hain Sari Duniya Se Juda
Aap Bhi Dushman Merey Ban Jaaieye


Kya Hai Achcha Kya Bura Banda Nawaz
Aap Samjhen To Hamein Samjhaieye


Jane Dijey Aqal Baatein Janab
Dil Ki Suniye Aur Peete Jaieye






7. Tum Ne Badle Hum Se Gin Gin Ke Liye
Hum Ne Kya Chaha Tha Is Din Ke Liye


Wasi Ka Din Aur Itna Mukhtasar
Din Gine Jate The Is Din Ke Liye


Who Nahin Sunte Hamari Kay Karen
Mangte Hain Hum Dua Jin Ke Liye


Chahne Walon Se Gar Matlab Nahin
Aap Phir Paida Huey Kin Ke Liye

Baghban Kaliyan Hon Halke Rang Ki
Bhejani Hain Ek Kamsin Ke Liye






8. Jeeta Rahne Ki Saza De Zindagi Aey Zindagi
Ab To Marne Ki Dua De Zindagi Aey Zindagi


Main To Ab Ukta Gaya Hon Kya Yehi Hai Kayenaat
Bas Ye Aiyeena Hata De Zindagi Aey Zindagi


Dhoondne Nikla Ta Tujhko Aur Khud Ko Khodiya
Ti Hi Ab Mera Pata De Zindagi Aey Zindagi


Ya Mejhe Ahsaaas Ki Is Qaid Se Karde Riha
Warna Deewana Bana De Zindagi Aey Zindagi






9. Zindagi Tu Ne Lahoo Le Ke Diya Kuchh Bhi Nahin
Tere Daman Main Merey Waste Kya Kuchh Bhi Nahin


Merey In Hathon Ki Chaho Totalashi Le Lo
Merey Hathon Mein Lakeeron Ke Siwakuchh Bhi Nahin


Hum Ne Dekha Hai Kaee Aise Khudaonko Yahan
Samene Jin Ke Wo Sach Much Ka Khuda Kuchh Bhi Nahin

Ya Khuda Ab Ke Yeh Kis Rang Mein Aee Hai Bahar
Zard Hi Zard Hai Pedon Pe Hara Kuchh Bhi Nahin


Dil Bhi Ek Zid Pe Ada Hai Kisi Bachche Ki Tarah
Ya To Sab Kuchh Hi Isey Chahiye Ya Kuchh Bhi Nahin

3 टिप्‍पणियां: