A SOUND AFFAIR

1. Ae Khuda Ret Ke Sehra Ko Samandar Kar De,

Ya Chhalakti Aankhon Ko Bhi Patthar Kar De

Tujhko Dekha Nahin Mehsoos Kiya Hai Maine,
Aa Kisi Din Mere Ehsaas Ka Paikar Kar De

Aur Kuch Bhi Mujhe Darkaar Nahin Hai Lekin,
Meri Chaadar Mere Pairon Ke Baraabar Kar De





2. Kabhi Guncha Kabhi Shola Kabhi Shabnam Kee Tarah,
Log Milte Hain Badalte Huye Mausam Kee Tarah


Mere Mehboob Mere Pyaar Ko Ilzaam Na De,
Hijr Mein Eed Manaayee Hai Moharrum Ki Tarah


Maine Khushboo Kee Tarah Tujhko Kiya Hai Mehsoos,
Dil Ne Chheda Hai Teri Yaad Ko Shabnam Ki Tarah

Kaise Ham-dard Ho Tum Kaisee Masihaayee Hai,

Dil Pe Nashtar Bhi Lagaate Ho To Marham Ki Tarah




3. Kabhi To Khul Ke Baras Ab Ke Meherbaan Ki Tarah,
Mera Wazood Hai Jalte Huye Makan Kee Tarah


Main Ik Khwaab Sahee Aapki Amaanat Hoon,
Mujhe Sambhaal Ke Rakhiyegaa Jism-o-jaan Ki Tarah


Kabhi To Soch Ke Wo Saksh Kis Kadar Tha Buland,
Jo Bichh Gaya Tere Kadmon Mein Aasmaan Ki Tarah


Bula Rahaa Hai Mujhe Fir Kisi Badan Ka Basanth,
Guzar Na Jaaye Ye Ruth Bhi Kahin Khizaan Ki Tarah






4. Manzil Na De Charaag Na De Hauslaa To De,
Tinke Ka Hi Sahee Tu Magar Aasraa To De

Maine Ye Kab Kaha Ke Mere Haq Mein Ho Jawaab,
Lekin Khamosh Kyoon Hai Tu Koi Faislaa To De



Barson Main Tere Naam Pe Khaata Raha Fareb,
Mere Khuda Kahan Hai Tu Apna Pata To De


Beshaq Mere Naseeb Pe Rakh Apnaa Ikhtiyaar,
Lekin Mere Naseeb Mein Kya Hai Bata To De






5. Socha Nahin Achcha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahin,
Maanga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahin


Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaaha Tujhe Pooja Tujhe,
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahin


Jispar Hamari Aankh Ne Moti Bichchaaye Raat Bhar,
Bheja Wohi Kaagaz Tujhe Humne Likha Kuch Bhi Nahin


Ek Shaam Ki Dahleez Par Baithe Rahe Wo Der Taq,
Aankhon Se Kee Baaten Bahot Humne Kaha Kuch Bhi Nahin






6. Tere Khushbuu Me.n Base Khat Mai.n Jalaataa Kaise
Pyaar Me.n Duube Huye Khat Mai.n Jalaataa Kaise


Tere Khat Aaj Mai.n Gangaa Me.n Bahaa Aayaa Huu.n
Aag Bahate Hue Paanii Me.n Lagaa Aayaa Huu.n


Jin Ko Duniyaa Kii Nigaaho.n Se Chhupaaye Rakhaa
Jin Ko Ik Umr Kaleje Se Lagaaye Rakhaa


Diin Jin Ko, Jinhe.n Iimaan Banaaye Rakhaa
Tune Duniyaa Kii Nigaaho.n Se Jo Bachkar Likhe

Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhe
Kabhii Din Me.n To Kabhii Raat Me.n Uthakar Likhe


Pyaar Me.n Duube Huye Khat Mai.n Jalaata Kaise
Tere Haatho.n Ke Likhe Khat Mai.n Jalaata Kaise

Tere Khat Aaj Mai.n Gangaa Me.n Bahaa Aayaa Huu.n
Aag Bahate Huye Paannii Me.n Lagaa Aayaa Huu.n






7. Yeh To Nahin Ke Gam Nahin,
Haan Meri Aankh Nam Nahin
Tum Bhi To Tum Nahin Ho Aaj,
Hum Bhi To Aaj Hum Nahin


Ab Na Khushi Kee Hai Khushi,
Gam Ka Bhi Ab To Gam Nahin

Maut Agar Che-maut Hai,
Maut Se Zeest Kam Nahin

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें