Jai Siya Ram

  1. Bolo Ram Jai Jai Ram,
    Muniman Ranjan Bhav Bhaye Bhanjan,
    Asur Nikandan Sita Ram,
    Patit Udharan Jag Jan Taran,
    Nitye Niranjan Sita Ram,
    Dashrat Nandan Sur Muni Vandan,
    Pareypap Vandan Sita Ram,
    Jag Sukh Karan Jag Jan Palan,
    Santan Jeevan Sita Ram,
    Satye Sanatan Mangal Karan,
    Sagun Niranjan Sita Ram,
    Ram Hi Pawan Ati Man Bhawan,
    Nar Narayan Sita Ram

  1. Jai Raghunandan Jai Siyaram,
    Bhaj Man Pyare Jai Siyaram,
    Adi Ram Anant Hai Ram,
    Sat Chit Aur Anant Hai Ram,
    Hanuman Ke Swami Ram,
    Deenan Ke Dukh Hari Ram,
    Maryada Purshotam Ram,
    Puran Bramh Sanatan Ram,
    Tulsi Sut Tulsi Ke Ram,
    Karuna Kar Bhakto Ke Ram,
    Jai Siyaram Jai Jai Jai Siyaram









  1. Bolo Ram Jai Jai Ram,
    Janam Safal Hoga Bande,
    Man Mein Ram Basa Le,
    Hey Ram Naam Ke Moti Ko,
    Sanso Ki Mala Bana Le,
    Ram Patit Pawan Karunakar,
    Aur Sada Sukh Daata,
    Saras Suhawan Ati Manbhawan,
    Ram Se Preet Lagale,
    Man Mein Ram Basa Le,
    Moh Maya Hai Jhuta Bandhan,
    Tyag Use Tu Prani,
    Ram Naam Ki Jyot Jala Kar,
    Apna Bhag Jaga Le,
    Man Mein Ram Basa Le,
    Ram Bhajan Mein Dub Ke Apni,
    Nirmal Kar Le Kaya,
    Ram Naam Se Preet Laga Ke,
    Jeevan Par Laga Le

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें