FAVOURITS 2

  1. Ab Main Ration Ki Kataron Mein Nazar Aata Hoon
    Apne Kheton Se Bichchadne Ki Saza Paata Hoon

    Itnee Menhgaayee Ke Bazaar Se Kuch Laata Hoon
    Apne Bachchon Mein Us'se Baant Ke Sharmaata Hoon

    Apnee Neendo Ki Lahoo Pochne Ki Koshish Mein
    Jaagte Jaagte, Thak Jaata Hoon So Jaata Hoon

    Koi Chaadar Samajh Ke Kheench Na Le Fir Se "khaleel"
    Main Qafan Odh Kar Foot-paath Pe So Jaata Hoon


  1. Apne Chehre Se Jo Jahir Hai, Chupaye Kaise,
    Teri Marzi Ke Mutabik Nazar Aaye Kaise,

    Ghar Sajane Ka Tasabur To Bahut Baad Ka Hai,
    Pahle Yeh Tai Ho Ke Is Ghar Ko Bachaye Kaise,

    Kad Kha Aakh Ka Har Daag Badal Deta Hai,
    Hasne Wale Tujhe Aasa Nazar Aye Kaise,

    Koi Apni Hi Nazar Se Jo Hame Dekhega,
    Ek Katre Ko Samandar Nazar Aye Kaise


  1. Apni Aag Ko Zinda Rakhna Kitna Mushkil Hai,
    Patthar Beech Aaeeena Rakhna Kitna Mushkil Hai

    Kitna Aasaan Hai Tasveer Banaana Auron Kee,
    Khud Ko Pase-aaeenaa Rakhna Kitna Mushkil Hai

    Tumne Mandir Dekhe Honge Ye Mera Aangan Hai,
    Ek Diya Bhee Jalta Rakhna Kitna Mushkil Hai

    Chullu Mein Ho Dard Ka Dariya Dhyaan Mein Uske Honth,
    Yun Bhee Khud Ko Pyaasa Rakhna Kitna Mushkil Hai

  1. Aye Khuda Ret Ke Sehra Ko Samandar Kar De,
    Yah Chalakti Huyi Aakho Ko Bhi Pathar Kar De,

    Tujh Ko Dekha Nahi, Mehsus Kiya Hai Maine,
    Aa Kisi Din Mere Ahsaas Ko Paykar Kar De,

    Aur Kuch Dare Mujhe, Darkar Nahi Hai Lakin,
    Meri Chadar Mere Payro Ke, Barabar Kar De


  1. Dhuaan Utha Thaa Diwaane Ke Jalte Ghar Se Saari Raat
    Lekin Wo Khaamosh Rahe Duniya Ke Dar Se Saari Raat

    Raat Yun Jalte Dil Par Teri Yaadon Ki Barsaat Huyee
    Jaise Ik Pyaase Ki Chitha Par Barkha Barse Saari Raat

    Saari Raat To Sapne Dekhe Subah Ko Ye Mehsoos Hua
    Humne Apna Sar Takraaya Ik Pathhar Se Saari Raat


  1. Din Guzar Gaya, Ai'thbaar Mein
    Raat Kat Gayi Intezaar Mein

    Wo Maza Kahan Basle Yaat Mein
    Lutf Jo Milaa Intezaar Mein

    Unki Ik Nazar Kaam Kar Gayi
    Hosh Ab Kahan Hoshiyar Mein

    Mere Kabze Mein Aaiyeena To Hai
    Main Hoon Aapke Ikhtiyaar Mein

    Aankh To Uthee Phool Ki Taraf
    Dil Ulazh Gaya Husn-haar Mein

    Tumse Kya Kahen, Kitne Gam Sahen
    Hamne Be-wafa Tere Pyaar Mein

    Fikr-e-aashiyaan Har Khizaam Ki
    Aashiyaan Jalaa Har Bahaar Mein

    Kis Tarah Ye Gham Bhool Jaaye Hum
    Wo Juda Hua Ishtihaar Mein


  1. Hum Hi Mein Thee Na Koi Baat, Yaad Hi Na Tumko Aa Sake
    Tumnay Hamein Bhula Diya Hum Na Tumhe Bhula Sake

    Tum Hi Na Sun Sake Agar Kissa-e-gham Sunega Kaun
    Kis Ki Zubaan Khulegi Phir Hum Na Agar Suna Sake

    Shauk-e-visaal Hain Yahan Lab Pe Sawaal Hai Yahan
    Kis Ki Majaal Hai Yahan Hum Se Nazar Mila Sake


  1. Humko Dushman Kee Nigahon Se Na Dekha Keeje
    Pyaar Hi Pyaar Hain Hum Humpe Bharosa Keeje

    Chand Yaadon Ke Siwa Haath Na Kuch Aayega
    Is Tarah Umr-e-gureza Ka Na Peecha Keeje

    Roshni Auron Ke Aangan Mein Gawara Na Sahee
    Kam Se Kam Apne Ghar Mein To Ujaala Keeje

    Kya Khabr Kab Wo Chale Aayenge Milne Ke Liye
    Roz Palkon Pe Nayee Shamme Jalaya Keeje


  1. Jhoothi Sachchi Aas Pay Jeena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak,
    Mai Ki Jagah Khoon-e-dil Peena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak

    Saucha Hai Ab Paar Utraingay Ya Takra Kar Doob Marenge,
    Toofanon Ki Zad Pay Safeena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak

    Ek Maheene Ke Waade Par Saal Guzaara Phir Bhi Na Aaye,
    Waade Ka Yeh Ek Maheena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak

    Saamnay Duniya Bhar Ke Gham Hain Aur Idhar Ik Tanha Hum Hain,
    Sainkdo Pathar Ik Aaiana Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak


  1. Kabhi To Khul Ke Baras Ab Ke Meherbaan Ki Tarah,
    Mera Wazood Hai Jalte Huye Makan Kee Tarah

    Main Ik Khwaab Sahee Aapki Amaanat Hoon,
    Mujhe Sambhaal Ke Rakhiyegaa Jism-o-jaan Ki Tarah

    Kabhi To Soch Ke Wo Saksh Kis Kadar Tha Buland,
    Jo Bichh Gaya Tere Kadmon Mein Aasmaan Ki Tarah

    Bula Rahaa Hai Mujhe Fir Kisi Badan Ka Basanth,
    Guzar Na Jaaye Ye Ruth Bhi Kahin Khizaan Ki Tarah


  1. Kabhi Yuh Bhi Aa Meri Aankh Mein,
    Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho,
    Mujhe Ek Raat Nawaz De,
    Magar Us Ke Baad Saher Na Ho,

    Who Bada Nahi Who Karim Hai,
    Mujhe Yeh Shifat Bhi Ata Kare,
    Tujhe Bhoolne Ki Dua Karo,
    To Dua Mein Meri Asar Na Ho,

    Kabhi Din Dhoop Mein Zhum Ke,
    Kabhi Shab Ke Phool Ko Chum Ke,
    Yuh Hi Saath Saath Chale Sada,
    Kabhi Khatm Aapna Safar Na Ho,

    Mere Paas Mere Habib Aa,
    Jara Aur Dil Ke Karib Aa,
    Tujhe Dhadhkano Me Basa Lu Mein,
    Ke Bichadne Ka Kabhi Daar Na Ho



  1. Khudaa Humko Aisee Khudaayee Na De
    Ke Apne Siwa Kuchch Dikhaayee Na De

    Khatawaar Samjhegee Duniyaan Tujhe
    Ke Itnee Ziyaada Safaayee Na De

    Hanso Aaj Itnaa Ke Is Shor Mein
    Sada Siskiyon Ki Sunaayee Na De

    Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahot
    Kalam Cheen Le Roshnaayee Na De

    Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
    Rahe Saamne Aur Dikhayee Na De


  1. Kisko Qaatil Main Kahoon Kisko Maseehaa Samajhoon
    Sab Yahaan Dost Hee Baithe Hain Kise Kya Samajhoon

    Wo Bhi Kya Din The Ke Har Vaham Yakeen Hota Tha
    Ab Haqeekat Nazar Aaye To Use Kya Samajhoon

    Dil Jo Tootaa To Kai Haath Duaa Ko Utthe
    Aise Mahaul Mein Ab Kis'ko Paraayaa Samajhoon

    Zulm Ye Hai Ke Hai Yaqtaa Teri Beganaaravee
    Lutf Ye Hai Ke Main Ab Tak Tujhe Apana Samajhoon


  1. Kiya Hai Pyar Jise Humne Zindagi Ki Tarah
    Wo Aashna Bhi Mila Humse Ajnabi Ki Tarah

    Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Tareeqi
    Chupega Wo Kisi Badli Mein Chandni Ki Tarah

    Badha Ke Pyaas Meri Usne Haath Chod Diya
    Wo Kar Raha Tha Murawwat Bhi Dillagi Ki Tarah

    Sitam To Ye Hai Ke Wo Bhi Na Ban Saka Apna
    Qabool Humne Kiye Jiske Gam Khushi Ki Tarah

    Kabhi Na Socha Tha Humne 'qateel' Uske Liye
    Karega Hum Pe Sitam Wo Bhi Har Kisi Ki Tarah


  1. Lab-e-khaamosh Se Izhaar-e-tamanna Chaahe,
    Baat Karne Ko Bhee Tasveer Ka Lehja Chaahe

    Tu Chale Saath To Aahat Bhee Na Aaye Apni,
    Dar Mein Aahan Bhee Na Ho Yun Tujhe Tanha Chaahe

    Khwaab Mein Roye To Ehsaas Ho Sairaabi Ka,
    Ret Par Soyen Magar Aankh Mein Dariya Chaahe

    Aise Tairaaq Bhee Dekhe Hain 'muzaffar' Humne,
    Gharq Hone Ke Liye Bhee Jo Sahara Chaahe


  1. Main Bhool Jaaoon Tumhe, Ab Yahi Munaasib Hai
    Magar Bhoolna Bhi Chaahoon To Kis Tarah Bhooloon
    Ke Tum To Fir Bhi Haqikat Ho Koi Khwaab Nahin
    Yahan To Dil Ka Ye Aalam Hai Kyaa Kahoon 'kambakht'
    Bhula Saka Na Ye Wo Silsila Jo Thaa Hi Nahin
    Wo Ik Khyaal Jo Awaaz Tak Gaya Hi Nahin
    Wo Ek Baat Jo Main Keh Nahin Saka Tumse
    Wo Ek Rawt Jo Hum Mein Kabhi Raha Hi Nahin
    Mujhe Hai Yaad Wo Sab Jo Kabhi Huwa Hi Nahin
    Agar Ye Haal Hai Dil Ka To Koi Samjhaaye
    Tumhe Bhulaana Bhi Chaahoon To Kis Tarah Bhooloon
    Ke Tum To Fir Bhi Hakikat Ho Koi Khwaab Nahin


  1. Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaro
    Ke Main Zameen Ke Rishton Se Kat Gaya Yaaro

    Woh Be-khayal Musafir Main Raasta Yaaro
    Kahan Tha Bas Mein Mere Usko Rokna Yaaro

    Mere Kalam Pe Zamane Kee Gard Aisee Thee
    Ke Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaro

    Tamaam Sheher Hi Jiskee Talaash Mein Gum Tha
    Main Uske Ghar Ka Pata Kis'se Poochta Yaaro


  1. Neend Se Aankh Khuli Hai Abhi Dekha Kya Hai,
    Dekh Lena Abhi Kuch Der Mein Duniya Kya Hai

    Baandh Rakha Hai Kisee Sonch Ne Ghar Say Humko,
    Varna Apna Dar-o-deewar Se Rishta Kya Hai

    Ret Ki Eent Ki Pathar Ki Hoon Ya Mitti Ki,
    Kisi Deewar Ke Saye Ka Barosa Kya Hai

    Apni Daanist Me Samjhay Koi Duniya `shahid',
    Warna Hathon Mein Lakiron Ke Ilaawa Kya Hai


  1.  Odaho Na Kaga Kare, Odaho Na Kaga Kare,
    Deh Mili Jahye Apne Ram Pyare,
    Odaho Na Kaga Kare, Odaho Na Kaga Kare,

    Panth Nihare Kaamni Lochan Pari Reusasa,
    Phurna Ki Jaye Pagna Ki Sye, Har Darsan Ki Aasha,
    Odaho Na Kaga Kare, Odaho Na Kaga Kare,

    Keh Kabir Jeevan Padhkaaran, Har Ki Paghat Kari Jaye,
    Ek Adhari Naam Narayan, Rasana Ram Ravi Jaye,
    Odaho Na Kaga Kare, Odaho Na Kaga Kare


  1. Raat Bhi Neend Bhi Kahaani Bhee
    Haaye Kya Cheez Hai Jawaani Bhee

    Dil Ke Sholon Se Padti Hai Sehra
    Zindagi Aag Bhee Hai Paani Bhee

    Khark Kya Kya Mujhe Nahin Kehti
    Kuch Sunoon Main Teri Zubaani Bhee

    Paas Rehna Kisi Ka Raat Ki Raat
    Mehmaani Bhee Mezbaani Bhee

  1. Rishtaa Ye Kaisa Hai Naata Ye Kaisa Hai
    Pehchaan Jisse Nahin Thee Kabhi
    Apna Bana Hain Wahi Ajnabi
    Rishtaa Ye Kaisa Hai Naata Ye Kaisa Hai

    Tumhe Dekhte Hee Rahoon Main Hamesha
    Mere Saamne Yoon Hee Baithe Raho Tum
    Karoon Dil Ki Baaten Main Khaamoshiyon Se
    Aur Apne Labon Se Na Kuch Bhee Kaho Tum

    Ye Rishta Hai Kaisa, Ye Naata Hai Kaisa
    Tere Tan Ki Khushboo Bhee Lagti Hai Apni
    Ye Kaisi Lagan Hai Ye Kaisa Milan Hai
    Tere Dil Ki Dhadkan Bhee Lagti Hai Apni

    Tumhe Paake Mehsoos Hota Hai Aise
    Ke Jaise Kabhi Hum Judaa Hee Nahin The
    Ye Maana Ke Jismon Ke Ghar To Naye Hain
    Magar Hai Puraane Ye Bandhan Dilon Ke


  1. Tujhse Rukhsat Ki Woh, Shame Aaskha Afsha Haay Haay,
    Who Udaasi Who Phijare, Giri Asama Haay Haay,

    Yaun Ka Peka Chum Lenge Ek Bhizi Si Arzu,
    Wanbabar Giri Ka Sharma Aansa Arma Haay Haay,

    Who Mere Hoto Pe Kuch, Kehne Ki Hasrat Way Shauk,
    Who Teri Akho Mein, Kuch Sunney Ka Arma Haay Haay


  1. Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga
    Waqt Aayega Wahi Shaksh Maseeha Hoga

    Khwaab Dekha Thaa Ke Sehra Mein Basera Hoga
    Kyaa Khabar Thi Ke Yahi Khwaab To Sachcha Hoga

    Main Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga Khushboo Bankar
    Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें