Leela

  1. Dhuan Uttha Hai, Kahi Aag Jal Rahi Hogi,
    Kahi Se Roshani Bahar Nikal Rahi Hogi,

    Yeh Charo Aur Se Aate Hue Kai Raste,
    Jab Ek Dusre Ke Jism Aa Ke Chuute Hai,

    Koi To Haath Mil Kar Nikal Gaya Hoga,
    Kisi Bhi Mod Pe Manjil Badal Gayi Hogi,

    Har Ek Roz Naya Asmaan Khulta Hai,
    Khabar Nai Hai Kal Din Ka Rang Kya Hoga,

    Palak Se Pani Gira Hai To Girne Do,
    Koi Purani Tamanna Pighal Rahi Hogi

  1. Jaag Ke Kati Sari Rayna,
    Nayno Me Kal Oos Girithi,

    Prem Ki Agni Buzti Nahi Hai,
    Behti Nadiya Rukti Nahi Hai,
    Sagar Tat Behtey Do Neyna,

    Ruh Ke Bandhan Khulte Nahi Hai,
    Daagg Hai Dil Ke Dhulte Nahi Hai,
    Karwat Karwat Baati Rayna

  1. Jabse Kareb Ho Ke Chale, Zindagi Se Hum,
    Khud Apne Ayine Ko Lage, Ajnabi Se Hum,

    Akho Ko Deke Roshani, Gul Kar Diye Chirag,
    Tang Aa Chuke The Waqt Ki Is Dillagi Se Hum,

    Ache Bure Ke Fark Ne Basti Uzad Di,
    Majbor Ho Ke Milne Lage Har Kisi Se Hum.



  1. Jabse Kareb Ho Ke Chale, Zindagi Se Hum,
    Khud Apne Ayine Ko Lage, Ajnabi Se Hum,

    Wo Kon Hai Jo Pass Bhi Hai Aur Dur Bhi,
    Har Lamha Mod Pe Hai, Kisi Ko Kisi Se Hum,

    Ehsaas Yeh Bhi Kam Nahi Jine Ke Wastey,
    Har Dard Ji Rahe Hai, Tumhari Khusi Se Hum,

    Kuch Dur Chal Ke Raste, Sub Ek Se Lage,
    Milne Gaye Kisi Se, Mil Aye Kisi Se Hum,

    Kis Mod Par Hayat Ne, Phucha Diya Hame,
    Naraj Hai Gamo Se, Na Khus Hai Khusi Se Hum

  1. Khumhare Gum Hai, Mehakti Fiza Mein Jite Hai,
    Tere Khayal Ki Abohawan Mein Jite Hai,

    Bade Tapak Se Miltey Hai, Milne Wale Mujhe,
    Who Mere Dost Hai, Teri Wafa Meh Jite Hai,

    Firake Yaar Me Saanso Ko Roke Rakhte Hai,
    Har Ek Lamha Guzarti Kaza Me Jite Hai,

    Nabaat Puri Hoi Thi, Ke Raat Tooth Gayi,
    Adhure Khawab Ki Adhi Saza Mein Jite Hai,

    Tumhari Bato Mein Koi Masiha Basta Hai,
    Hasi Labo Se Barasti Shafa Mein Jite Hai

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें