MAGIC MOMENTS

  1. Babul Mora, Naihar Chhooto Hi Jaye,
    Babul Mora, Naihar Chhooto Hi Jaye,

    Chaar Kaha Mil Mori, Doliya Sajayi Re,
    Mora Apna Begana, Chhooto Jaye,
    Naihar Chhooto Hi Jaye,

    Angana To Parbat Bhayo, Dyudi Bhayi Videsh,
    Le Babul Ghar Aapna, Main Chali Piya Ke Desh


  1. Daastaan-e-gam-e-dil Unako Sunaa_ii Na Ga_ii
    Baat Biga.dii Kuchh Aisii Ki Banaa_ii Na Ga_ii

Sab Ko Ham Bhuul Ga_e Josh-e-junuu.n E.n Lekin
Ek Terii Yaad Thii Aisii Ki Bhulaa_ii Na Ga_ii

Ishq Par Kuchh Na Chalaa Diidaa-e-tar Kaa Jaaduu
Usane Jo Aag Lagaa Dii Vo Bujhaa_ii Na Ga_ii


  1. Dil Me.n Tum Ho Nazar Kaa Ha.ngaam Hai
    Kuchh Sahar Kaa Vaqt Hai Kuchh Shaam Hai

Ra.nj-o-gam Dil Kii Tabiyat Ban Chuke
Ab Yahaa.n Aaraam Hii Aaraam Hai

Pii Rahaa Huu.n Aa.nkho.n Aa.nkho.n Me.n Sharaab
Ab Na Shiishaa Hai Na Ko_ii Jaam Hai


  1. Isii Chaman Me.n Hii Hamaaraa Bhii Ik Zamaanaa Thaa
    Yahii.n Kahii.n Ko_ii Saadaa Saa Aashiyaanaa Thaa

Nasiib Ab To Nahii.n Shaakh Bhii Nasheman Kii
Ladaa Huaa Kabhii Phuulo.n Se Aashiyaanaa Thaa

Terii Qasam Are O Jald Ruuthanevaale
Guruur-e-ishq Na Thaa Naaz-e-aashiqaanaa Thaa

Tumhii.n Guzar Gaye Daaman Bachaakar Varnaa Yahaa.n
Vahii Shabab Vahii Dil Vahii Zamaanaa Thaa




  1. Ishq Me.n Gairat-e-jazabaat Ne Rone Na Diyaa
    Varna Kyaa Baat Thii Kis Baat Ne Rone Na Diiyaa

    Aap Kahate The Ke Rone Se Na Badale.nge Nasiib
    Umr Bhar Aap Kii Is Baat Ne Rone Na Diiyaa

    Ronewaalo.n Se Kah Do Unakaa Bhii Ronaa Role.n
    Jinako Majabuuri-e-haalaat Ne Rone Na Diiyaa

    Tujhase Milakar Hame.n Ronaa Thaa Bahot Ronaa Thaa
    Ta.ngii-e-waqt-e-mulaaqaat Ne Rone Na Diiyaa


  1. Ishq Mujhko Naheen, Wehshat Hee Sahee
    Meree Wehshat, Teree Shohrat Hee Sahee

    Ham Bhee Dushman To Naheen Hain Apne
    Ghair Ko Tujh Se Mohabbat Hee Sahee

    Ham Koee Tarq-e-wafa Karte Hain
    Na Sahee Ishq, Museebat Hee Sahee


  1. Jahan Jahan Mujhe Sehra Dikhayee Deta Hai,
    Meri Tarah Se Akela Dikhayee Deta Hai

    Yeh Ek Abr Ka Tukda Kahan Kahan Barse,
    Tamam Dasht Hi Pyaasa Dikhayee Deta Hai

    Yeh Kis Maqaam Pe Laayee Hai Justjoo Teri,
    Jahan Se Arsh Bhi Nicha Dikhayee Deta Hai


  1. Kisee Ko De Ke Dil Koee Nawaa_sanj-e-fughaan Kyon Ho ?
    Na Ho Jab Dil Hee Seene Mein To Fir Munh Mein Zubaan Kyon Ho ?

    Wafa Kaisee ? Kahaan Ka Ishq ? Jab Sar Phodna Thehra
    To Fir 'ei Sang_dil Tera Hee Sang-e-aastaan Kyon Ho ?

    Yahee Hai Aazmaana To Sataana Kis Ko Kehte Hain ?
    `adoo Ke Ho Liye Jab Tum To Mera Imtihaan Kyon Ho ?

    Qafas Mein Mujh Se Roodaad-e-chaman Kehte Na Dar Hamdam
    Giree Hai Jis Pe Kal Bijlee Woh Mera Aashiyaan Kyon Ho ?

  1. Kya Sach Hai Kya Jhooth Hai,
    Jeevan Ki Kise Pehchan,
    Samjha Hai Kisne Ise Aaj Tak,
    Kiske Haathon Me Hai Yeh Kaha,

    Jaise Raak Ke Andar Koi,
    Angara Reh Jata Hai,
    Jalne Ke Liye,

    Maun Samarpan Mein Bhi To,
    Vidhroh Panapta Rehta Hai,
    Mitne Ke Liye,

    Jane Kisne Peer Parayi,
    Khilne Se Phele Murjhai,
    Adhro Mein Muskan,

    Jeena Bas Ki Baat Nahi Hai,
    Marne Ka Adhikar Nahi,
    Chalna Hai Badi,

    Saanso Par Pehra Baitha Hai,
    Jine Mein Bhi Sar Nahi,
    Tooti Hai Kadi,

    Jhote Rishte Nate Sare,
    Apne Hi Sapno Se Hare,
    Ulzhan Mein Hai Pran,

    Jeevan Hai Ek Lakshaman Rekha,
    Jisne Na Isko Dekha,
    Girta Hi Gaya,

    Kasturi Mrig Ki Tarah,
    Bhatka Woh Jungle Jungle,
    Ghirta Hi Gaya,

    Puri Na Hoti Hai Chahe,
    Kitni Anjani Hai Rahe,
    Manjil Hai Anjan.





  1. Koi Kesu, Koi Aachal Hame Aawaj Na De,
    Ab Kisi Aakh Ka Kajal Hame Awaj Na De,

    Hum Hai Khamosh To Khamosh Hi Rehne Do Hame,
    Koi Aahat Koi Halchal Hame Awaj Na De,

    Hum Ne Tanhai Ko Mehboob Bana Rakha Hai,
    Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai,

    Phir Pukara Hai Mohabat Ne Hame Kya Kijye,
    Di Sada Husn Ki Janat Ne Hame Kya Kijye,

    Jis Ke Saye Se Bhi Aksar Hame Dar Lagta Tha,
    Choo Liya Akhir Usey Hasrat Me Kya Kijye,

    Hamne Jasbat Ke Daman Ko Bacha Rakha Hai,
    Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai,

    Raas Ayena Kabhi Pyar Ke Halat Hame,
    Dil Ke Is Khel Mein Har Bar Hui Mat Hame,

    Kya Karenge Kaha Jayenge Kidhar Jayenge,
    De Gayi Jabbhi Daga Yeh Mulakat Hame,

    Bas Isi Soch Ne Hame Devana Bana Rakha Hai,
    Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai


  1. Sahar Gah-e-iid Me.n Daur-e-subuu Thaa
    Par Apane Jaam Me.n Tujh Bin Lahuu Thaa

Jahaa.n Pur Hai Fasaane Se Hamaare
Dimaag-e-ishq Ham Ko Bhii Kabhuu Thaa

Gul-o-aaiinaa Kyaa Khurshiid-o-maah Kyaa
Jidhar Dekhaa Udhar Teraa Hii Ruu Thaa









  1. Shaayad Aa Jaayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras,
    Mil Na Paya Hai Un Aankhon Ka Bhi Ras Ab Ke Baras

    Aisi Chaayi Thi Kahan Gham Ki Ghatayen Pehle,
    Haan Mere Deedar Tar Khoob Baras Ab Ke Baras

    Oof Wo Un Umad Bhari Aankhon Ke Chlakthe Huye Jaam,
    Badh Gayi Aur Bhi Peene Ki Hawas Ab Ke Baras

    Pehle Ye Kab Tha Ki Wo Mere Hain Main Unka Hoon,
    Unki Yaadon Ne Sataya Hai Tho Bas Ab Ke Baras


  1. Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey,
    Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chupaaye Rakhaa,
    Jinko Ik Umr Kalejey Se Lagaaye Rakhaa,

    Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Tha Pani Ki Tarah,
    Yaad They Mujhko Jo Paigaam-e-zubaani Ki Tarah,
    Mujh Ko Pyarey They Jo Anmol Nishaani Ki Tarah.

    Tuune Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachakar Likhey,
    Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhey.
    Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Mein Uthkar Likhey

    Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey?
    Pyar Mein Duubey Huye Khat Main Jalaata Kaisey?
    Tere Haathon Ke Likhey Khat Main Jalaata Kaisey?

    Tere Khat Aaj Main Ganga Mein Bahaa Aayaa Hoon,
    Aag Behetey Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon.


  1. Tumhare Anjuman Se Uthke Diwane Kahaan Jaate,
    Junba Basta Huye Hamse Wo Ab Sare Kahaan Jaate

    Tumhari Berukhi Ne Laaj Rakh Li Waada-faan-e Ki,
    Tum Aankhon Se Pila Dete To Paimane Kahaan Jaate

    Chalo Achchha Hua Kaam Aa Gayi Diwaangi Apni,
    Warna Ham Zamaane Bhar Ko Samjhaane Kahaan Jaate




  1. Who Nahii.n Milataa Mujhe Isakaa Gilaa Apanii Jagah
    Usake Mere Daramiyaa.n Kaa Faasalaa Apanii Jagah

    Zindagii Ke Is Safar Me.n Saika.do.n Chehare Mile
    Dil-kashii Unakii Alag, Paikar Teraa Apanii Jagah

    Tujhase Milakar Aane Vaale Kal Se Nafarat Mol Lii
    Ab Kabhii Tujhase Na Bichha.duu.n Ye Duaa Apanii Jagah

    Is Musalsal Dau.d Me.n Hai Manzile.n Aur Faasale
    Paa.nv To Apanii Jagah Hai.n Raastaa Apanii Jagah


  1. Yaar Ko Mai.n Ne Mujhe Yaar Ne Sone Na Diyaa
    Raat Bhar Taalaa-e-bedaar Ne Sone Na Diyaa

Ek Shab Bul-bule Betaab Ke Jaage Na Nasiib
Pahaluu-e-gul Me.n Kabhii Khaar Ne Sone Na Diyaa

Raat Bhar Kii Dil-e-betaab Ne Baate.n Mujhase
Mujhako Is Ishq Ke Biimaar Ne Sone Na Diyaa


कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें