MIRZA GHALIB

  1. Aah Ko Chaahiye Ik 'umr Asar Hone Tak
    Kaun Jeeta Hai Teree Zulf Ke Sar Hone Tak ?

    Aashiqee Sabr Talab Aur Tamanna Betaab
    Dil Ka Kya Rang Karoon Khoon-e-jigar Hone Tak ?

    Ham Ne Maana Ke Taghaful Na Karoge, Lekin
    Khaak Ho Jaayenge Ham Tumko Khabar Hone Tak

    Gham-e-hastee Ka 'asad' Kis'se Ho Juz Marg Ilaaz
    Shamma'a Har Rang Mein Jaltee Hai Sahar Hone Tak

  1. Bus Ke Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
    Aadmee Ko Bhee Muyassar Naheen Insaan Hona

    Kee Mere Qatl Ke Baad Usne Jafa Se Tauba
    Haay Us Zood_pashemaan Ka Pashemaan Hona

    Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat 'ghalib'
    Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona

  1. Baazeechaa-e-atfaal Hai Duniya Mere Aage
    Hota Hai Shab-o-roz Tamaasha Mere Aage

    Hota Hai Nihaan Gard Mein Sehara Mere Hote
    Ghisata Hai Jabeen Khaak Pe Dariya Mere Aage

    Mat Pooch Ke Kya Haal Hai Mera Tere Peeche ?
    Too Dekh Ke Kya Rang Tera Mere Aage

    Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khinche Hai Mujhe Kufr
    Ka'aba Mere Peeche Hai Kaleesa Mere Aage

    Go Haath Ko Jumbish Naheen Aanhon Mein To Dam Hai
    Rehne Do Abhee Saaghar-o-meena Mere Aage



  1. Dil Hee To Hai Na Sang-o-khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyon ?
    Royenge Ham Hazaar Baar, Koee Hamein Sataaye Kyon ?

    Qaid-e-hayaat-o-band-e-gham Asl Mein Dono Ek Hain
    Maut Se Pehle Aadmee Gham Se Nijaat Paaye Kyon ?

    'ghalib'-e-khasta Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain ?
    Roiye Zaar-zaar Kya, Keejiye Haay-haay Kyon ?

  1. Dil Hee To Hai Na Sang-o-khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyon ?
    Royenge Ham Hazaar Baar, Koee Hamein Sataaye Kyon ?

    Dair Naheen, Haram Naheen, Dar Naheen, Aastaan Naheen
    Baithe Hain Rehguzar Pe Ham, Ghair Hamein Uthaaye Kyon ?

    Haan Wo Naheen Khuda_parast, Jaao Wo Be_wafa Sahee
    Jisko Ho Deen-o-dil 'azeez, Uskee Galee Mein Jaaye Kyon ?

    'ghalib'-e-khasta Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain ?
    Roiye Zaar-zaar Kya, Keejiye Haay-haay Kyon ?

  1. Dil-e-naadaan Tujhe Huaa Kya Hai ?
    Aakhir Is Dard Kee Dawa Kya Hai

    Hamko Unse Wafa Ki Hai Ummeed
    Jo Naheen Jaante Wafa Kya Hai

    Dil-e-naadaan Tujhe Huaa Kya Hai ?
    Aakhir Is Dard Kee Dawa Kya Hai

    Ham Hain Mushtaaq Aur Woh Bezaar
    Ya Ilaahee ! Yeh Maajra Kya Hai ?

    Jab Ki Tujh Bin Naheen Koee Maujood
    Fir Ye Hangaama, 'ei Khuda ! Kya Hai

    Jaan Tum Par Nisaar Karta Hoon
    Main Naheen Jaanata Duaa Kya Hai


  1. Hazaaron Khwahishain 'eisee Ke Har Khwahish Pe Dam Nikle
    Bohot Nikle Mere Armaan Lekin Fir Bhee Kam Nikle

    Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aayain Hain Lekin
    Bohot Be_aabru Hokar Tere Kooche Se Ham Nikle

    Mohabbat Mein Naheen Hai Farq Jeene Aur Marne Kaa
    Usee Ko Dekh Kar Jeete Hain Jis Kaafir Pe Dam Nikle

    Khuda Ke Waaste Parda Na Kaabe Se Uthaa Zaalim
    Kaheen 'eisa Na Ho Yaan Bhee Wohee Kaafir Sanam Nikle

    Kahaan Maikhaane Ka Darwaaza 'ghalib' Aur Kahaan Waaiz
    Par Itana Jaante Hain Kal Wo Jaata Tha Ke Ham Nikle

  1. Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ke 'too Kya Hai' ?
    Tumheen Kaho Ke Yeh Andaaz-e-guftgoo Kya Hai ?

    Ragon Mein Daudte Firne Ke Ham Naheen Qaayal
    Jab Aankh Hee Se Na Tapka To Fir Lahoo Kya Hai ?

    Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan
    Hamaaree Jeb Ko Ab Haajat-e-rafoo Kya Hai ?

    Jalaa Hai Jicm Jahaan Dil Bhee Jal Gaya Hoga
    Kuredate Ho Jo Ab Raakh, Justjoo Kya Hai ?

    Rahee Na Taaqat-e-guftaar, Aur Agar Ho Bhee
    To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarzoo Kya Hai ?

  1. Ishq Mujhko Naheen, Wehshat Hee Sahee
    Meree Wehshat, Teree Shohrat Hee Sahee

    Ham Bhee Dushman To Naheen Hain Apne
    Ghair Ko Tujh Se Mohabbat Hee Sahee

    Ham Koee Tarq-e-wafa Karte Hain
    Na Sahee Ishq, Museebat Hee Sahee

  1. Qaasid Ke Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
    Main Jaanta Hoon Jo Wo Likhenge Jawaab Mein

    Kab Se Hoon Kya Bataaoon Jahaan Mein Kharaab Mein
    Jab Haaye Hizr Ko Bhi Rakhoo Gar Hisaab Mein

    Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein Aata Thaa Daur-e-jaam
    Saaqi Nein Kuch Mila Na Diya Ho Sharaab Mein

    Taaqir Na Intezaar Mein Neend Aaye Umr Bhar
    Aane Ka 'ehed Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein

    'ghalib' Chuti Sharaab Par Ab Bhi Kabhi Kabhi
    Peeta Hoon Roj-e-abro Shab-e-maahtaab Mein

  1. Kisee Ko De Ke Dil Koee Nawaa_sanj-e-fughaan Kyon Ho ?
    Na Ho Jab Dil Hee Seene Mein To Fir Munh Mein Zubaan Kyon Ho ?

    Wafa Kaisee ? Kahaan Ka Ishq ? Jab Sar Phodna Thehra
    To Fir 'ei Sang_dil Tera Hee Sang-e-aastaan Kyon Ho ?

    Yahee Hai Aazmaana To Sataana Kis Ko Kehte Hain ?
    `adoo Ke Ho Liye Jab Tum To Mera Imtihaan Kyon Ho ?

    Qafas Mein Mujh Se Roodaad-e-chaman Kehte Na Dar Hamdam
    Giree Hai Jis Pe Kal Bijlee Woh Mera Aashiyaan Kyon Ho ?

  1. Na Tha Kuchch To Khuda Tha, Kuchch Na Hota To Khuda Hota
    Duboya Mujhko Hone Ne, Na Hota Main To Kya Hota ?

    Huaa Jab Gham Se Yoon Behis To Gham Kya Sar Ke Katne Ka
    Na Hota Gar Juda Tan Se To Zaanoon Par Dhara Hota

    Huee Muddat Ke 'ghalib' Mar Gaya Par Yaad Aata Hai
    Wo Har Ek Baat Pe Kehana, Ke Yoon Hota To Kya Hota ?



  1. Phir Kuchch Is Dil Ko Beqaraaree Hai
    Seena Zoya-e-zakhm-e-kaaree Hai

    Phir Jigar Khodane Laga Naakhun
    Aamad-e-fasl-e-laala Qaaree Hai

    Phir Usee Bewafaa Pe Marte Hain
    Phir Wohee Zindagee Hamaaree Hai

    Be_khudee Be_sabab Naheen 'ghalib'
    Kuchch To Hai Jiskee Pardaadaaree Hai

  1. Sab Kahan-kuch Lala-o-gul Mein Numaayan Ho Gayee
    Khaak Mein Kya Suraten Hongi Ke Pinhan Ho Gayee

    Ranz Se Khu-garz Hua Insaan To Mit Jaata Hai Ranz
    Mushkilyen Mujh Par Padi Itnee Ke Aasaan Ho Gayee

    Yun Hi Gar Rota Raha 'ghalib' To E-ehle Jahaan
    Dekhna In Bastiyon Ko Tum Ke Weeraan Ho Gayee

  1. Unke Dekhe Se Jo Aa Jaathi Hai Moonh Par Raunaq
    Wo Samajhten Hain Ke Beemaar Ka Haal Achcha Hai

    Dekhiye Paate Hain Pushaaq Buton Se Kya Faiz
    Ik Barhaman Ne Kaha Hai Ke Ye Saal Achcha Hai

    Humko Maaloom Hai Jannat Ki Haqeeqat Lekin
    Dil Ko Khush Rakhne Ko 'ghalib' Ye Khayaal Achcha Hai






  1. Woh Firaaq Aur Woh Wisaal Kahaan ?
    Woh Shab-o-roz-o-maah-o-saal Kahaan ?

    Thee Woh Ik Shakhs Ke Tasavvur Se
    Ab Woh Raanaai-e-khayaal Kahaan ?

    'eisa Aasaan Naheen Lahoo Rona
    Dil Mein Taaqat Jigar Mein Haal Kahaan ?

    Fikr-e-duniyaan Mein Sar Khapaata Hoon
    Main Kahaan Aur Ye Wabaal Kahaan ?

  1. Tere Waade Par Jiye Ham To Ye Jaan Jhoot Jaanaa
    Ke Khushee Se Mar Na Jaate Agar 'eitabaar Hota

    Ye Na Thee Hamaaree Qismat Ke Wisaal-e-yaar Hota
    Agar Aur Jeete Rehte Yahee Intezaar Hota

    Ye Kahaan Ki Dostee Hai Ke Bane Hain Dost Naaseh
    Koee Chaarasaaz Hota, Koee Ghamgusaar Hota

    Kahoon Kis Se Main Ke Kya Hai, Shab-e-gham Buree Bala Hai
    Mujhe Kya Bura Tha Marna ? Agar Ek Baar Hota

  1. Ye Na Thee Hamaaree Qismat Ke Wisaal-e-yaar Hota
    Agar Aur Jeete Rehte Yahee Intezaar Hota

    Koee Mere Dil Se Pooche Tere Teer-e-neemkash Ko
    Ye Khalish Kahaan Se Hotee Jo Jigar Ke Paar Hota

    Kahoon Kis Se Main Ke Kya Hai, Shab-e-gham Buree Bala Hai
    Mujhe Kya Bura Tha Marna ? Agar Ek Baar Hota




  1. Zulmat_kade Mein Mere Shab-e-gham Ka Josh Hai
    Ik Shamma'a Hai Daleel-e-sahar, So Khamosh Hai

    Daagh-e-firaaq-e-sohabat-e-shab Kee Jalee Hooee
    Ik Shamma`a Reh Gaee Hai So Wo Bhee Khamosh Hai

    Aate Hain Ghaib Se Ye Mazaameen Khayaal Mein
    'Ghalib', Sareer-e-khaama Nawa-e-sarosh Hai

3 टिप्‍पणियां: