MUNTAZIR

  1. Raat Khamosh Hai, Chand Madhosh Hai,
    Tham Lena Mujhe, Ja Raha Hosh Hai,
Milan Ki Dastan, Dhadkano Ki Juban,
Gaa Rahi Hai Zameen, Sun Raha Aasaman,
Gungunati Hawa, De Rahi Hai Sada,
Sard Is Raat Ki, Garm Aagosh Hai,
Mahakti Yeh Fiza, Jaise Teri Ada,
Chha Raha Ruh Par, Jane Kaisa Nasha,
Jhumta Hai Jaha, Ajab Hai Yeh Sama,
Dil Ke Gulzar Main, Ishq Purzosh Hai
  1. Gum Soom Yeh Jahan Hai, Humdum Tu Kaha Hai,
    Gamzada Ho Gayi, Zindagi Aa Bhi Jaa,
Raat Baithi Hai Bahe Pasare, Siskiya Le Rahe Hai Sitare,
Koi Tuta Hua Dil Pukare, Humdum Tu Kaha Hai,
Aaj Aane Ka Vada Bhul Kar, Na-Umeedi Ki Aandhi Chala Kar,
Aashiyana Wafa Ka Jala Kar, Humdum Tu Kaha Hai
  1. Yun To Guzar Raha Hai, Har Ik Pal Khushi Ke Saath,
    Phir Bhi Koi Kami Si Hai, Kyu Zindagi Ke Saath,
Rishta Vafaye Dosti, Sab Kuch To Pass Hai,
Kya Baat Hai Pata Nahi, Dil Kyu Udas Hai,
Har Lamha Hai Haseen, Nayi Dilkashi Ke Saath,
Chahat Bhi Hai Sukun Bhi Hai Dilbari Bhi Hai,
Aakho Mein Khawab Bhi Hai, Labo Par Hasi Bhi Hai,
Dil Ko Nahi Hai Koi, Shikayat Kisi Ke Saath,
Socha Tha Jaisa Vaisa Hi Jeevan To Hai Magar,
Ab Aur Kis Talash Mein Baichain Hai Nazar,
Kudrat To Mehrban Hai, Darayadili Ke Saath



  1. Teri Aankhon Se Hi Jaage Soye Hum,
    Kab Tak Akhir Tere Gum Ko Roye Hum,
Waqt Ka Marham Zakhmo Ko Bhar Deta Hai,
Shishey Ko Bhi Yeh Pathar Kar Deta Hai,
Raat Ko Tuz Ko Paye Din Mein Khoye Hum,
Har Ahat Par Lagta Hai Tu Aya Hai,
Dhoop Hai Mere Peche Age Saya Hai,
Khud Aapni Hi Lash Ko Kab Tak Dhoye Hum
  1. Rukh Se Parda Utha De, Zara Sakiya,
    Bas Abhi Range Mehfil Badal Jayega,
    Hai Jo Behosh Vo Hosh Mein Aayega,
Tum Tasalli Na Do, Sirf Baithe Raho,
Wakt Kuch MEre Marne Ka Tal Jayega,
Kya Yeh Kam Hai Masiha Ke Rahne Hi Se,
Maut Ka Bhi Irada Badal Jayega,
Teer Ki Jaan Hai Dil, Dil Ki Jaan Teer Hai,
Teer Ko Na Yun Khicho, Kaha Maan Lo,
Teer Khicha To Dil Bhi Nikal Aayega,
Dil Jo Nikla To Dum Bhi Nikal Jayega,
Iske Hasne Main Rone Ka Aandaz Hai,
Khak Udane Main Fariyad Ka Raaz Hai,
Isko Chedo Na Aanvar Khuda Ke Liye,
Warna Bimar Ka Dum Nikal Jayega
  1. Bahut Khubsurat Hai, Aakhe Tumhari,
    Agar Ho Inayaat, Aye Jane Mohabaat,
    Garadegi Yeh Dil Ko, Kismat Hamari,
Jo Sabse Juda Hai, Who Andaaz Ho Tum,
Chupa Tha Jo Dilme, Wohi Raaz Ho Tum,
Tumhari Nazakat, Bani Jabse Chahat,
Sukun Ban Gayi Hai, Har Ek Bekarari,
Na The Jab Talak Tum, Hamari Najar Mein,
Na Tha Chand Shab Mein, Na Suraj Saher Mein,
Tumhari Izazat, Tum Hari Hukumat,
Yeh Sara Gagan Hai, Yeh Dharti Hai Sari
  1. Benaam Sa Ye Dard, Thar Kyo Nahi Jata,
    Jo Beet Gya Hai, Woh Gujar Kyo Nahi Jata,
    Sab Kuch To Hai, Kya Dundti Rahti Hai Nigahe,
    Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyo Nahi Jata,
Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyo Nahi Jata,
Main Apni Hi Ulzi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hai Jidhar Sab, Main Udhar Kyo Nahi Jata,
Woh Naam Jo Barso Se, Na Chera Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata
  1. Yeh Kiska Tassavoor Hai, Yeh Kiska Fasana Hai,
    Jo Ashq Hai Akho Mein Tasbih Ka Dana Hai,
Jo Un Pe Guzarti Hai, Kisne Use Jana Hai,
Aapni Hi Musibat Hai, Aapna Hi Fasana Hai,
Aakho Mein nami Si Hai, Chup Chup Se Vo Baithe Hai,
Najuk Si Nigaho Mein, Najuk Sa Fasana Hai,
Yeh Isq Nahi Aasan, Itna To Samazh Lijiye,
Ik Aag Ka Dariya Hai, Aur Dub Ke Jana Hai,
Ya Vo The Khafa Humse, Yah Hum Hai Khafa Unse,
Kul Unka Jamana Tha, Aaj Apna Jamana Hai

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें