Angdai Par Angdai Leti Hai Raat Judai Ki

Angdai Par Angdai Leti Hai Raat Judai Ki,
Tum Kya Samjho Tum Kya Jaano Baat Meri Tanhaayee Kee

Kaun Siyahi Ghol Raha Tha Waqt Ke Behte Dariya Mein,
Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjee Kee

Wasl Ki Raat Na Jaane Kyoon Israar Tha Unko Jaane Par,
Waqt Se Pehle Dhoob Gaye Taaron Ne Badi Daanaee Kee

Udte Udte Aas Ka Panchi Door Ufaq Mein Doob Gaya,
Rote Rote Baith Gayee Awaaz Kisi Saudaaee Kee 


Watch/Listen on YouTube

 

GHULAM ALI: Ek lamha maykade mein jo ham log aa gaye

Ek lamha maykade men jo ham log aa gaye;
Kuch baat-cheet kar gaye kutch hans-hans gaye!

Ab isamein apni surat-e-raana na dekhiye;
Ab dil ke aaine men kahi baar aa gaye!

Dam le ke ek lamha chale jaayenge faqeer;
Sunke tumhaare kuld ki taareef aa gaye!

Kitne haseen log the jo mil ke ek baar;
Aankhon mein jazb ho gaye dil men sama gaye!

GHULAM ALI: Ak pagali mera naam jo le sharamaaye bhi ghabaraaye bhi

Ak pagali mera naam jo le sharamaaye bhi ghabaraaye bhi;
Galiyon galiyon mujhase milane aaye bhi ghabaraaye bhi!

Raat gaye ghar jaane waali gumasum ladaki raahon mein;
Apani ulajhi zulfon ko sulajhaaye bhi ghabaraaye bhi!

Kaun bichhad kar phir lautega kyon aawaara phirate ho;
Raaton ko ek chaand mujhe samajhaaye bhi ghabaraaye bhi!

Aane waali rut ka kitana kauf hai usaki aankhon mein;
Jaane waala door se haath hilaaye bhi ghabaraaye bhi!

GHULAM ALI: Ek nagma ek taara ek guncha ek jaam

Ek nagma ek taara ek guncha ek jaam;
Ai gam-e-dauraan gam-e-dauraan tujhe mera salaam!

Zulf aawaara garebaan chaak ghabaraayi nazar;
In dinon ye hai jahaan mein zindagaani ka nizaam!

Chand taare tuut kar daaman mein mere aa gire;
Main ne poonchha tha sitaaron se tere gam ka maqaam!

Pad gayin pairaahan-e-subah-e-chaman par salawatein;
Yaad aa kar rah gayi hai bekudi ki ek shaam!

Teri ismat ho ke ho mere hunar ki chaandani;
Waqt ke baazaar mein har chiz ke lagate hain daam!

GHULAM ALI: Ek hamein aawaara kahana koi bada ilzaam nahi

Ek hamein aawaara kahana koi bada ilzaam nahi;
Duniya waale dil waalon ko aur bahut kuch kahate hain!

Wohi mizaaj wohi chaal hai zamaane ki;
Hamein bhi ho gai aadat fareb khaane ki!

Main saare shahar mein tanha nahi hua ruswa;
Saza mili hai tumhen bhi to dil lagaane ki!

Sharaab milati hai lekin hamaari pyaas se kam;
Ajeeb rasm hai saaqi yahaan pilaane ki!

Nazar bacha ke tumhen dekhata hoon mahafil men;
Nazar lage na kaheen tumako is diwaane ki!

GHULAM ALI: Dukh ki laher ne chheda hoga

Dukh ki laher ne chheda hoga;
Yaad me kankar pheka hoga!

Aaj to mera dil kehta hain;
woh is waqt, akela hoga!

Main to aaj bahut roya hun;
Tu bhi shayad roya hoga!

Mere chume huye haathon se;
Auro ko khat likhta hoga!

Mera sathi sam ka tara;
Tujhase aakh milata hoga!

Yaadon ki jalti shabnam se;
Phoolon sa mukhra dhoya hoga!

Naasir tera meet purana;
Tujhko yaad to aata hoga!

GHULAM ALI: DILON KO TODNE WAALON TUMHE KISI SE KYA

DILON KO TODNE WAALON TUMHE KISI SE KYA;
MILO TO AANKH CHURAA LO TUMHE KISI SE KYA!

MUJHE KHUD APNI NAZAR MEN BANA KE BEGAANA;
JAHAN KO APNA BANALO TUMHE KISI SE KYA!
NAZAR BACHAAKE GUZAR JAAO MEREE TURBAT SE;
KISI PE KHAAK NA DAALO TUMHE KISI SE KYA!

HAMAREE LAGHZISH-E-PAA KA KHAYAAL KYON HAI TUMHE;
TUM APNI CHAAL SAMBHALO TUMHE KISI SE KYA!

GHULAM ALI: Dilawaalon kya dekh rahe ho in raahon mein

Dilawaalon kya dekh rahe ho in raahon mein, in raahon mein;
Had-e-nazar tak ye viraani saath chalegi, saath chalegi!

Sannaate phir shama ke aansu chaat rahe hain, chaat rahe hain;
Ye basti jo ujad gayi hai ab na basegi, ab na basegi!

Ghar ke andar saare jangal ka sannaata, sannaata;
Shaam huyi to is jangal mein hawa chalegi, hawa chalegi!

Jinake haathon dil ki ye tauhin huyi hai, tauhin huyi hai;
Unake liye bhi ye duniya aisi na rahegi, aisi na rahegi!

'Razi Miyaan' tum shaam se kaise chup baithe ho, chup baithe ho;
Kuchh to bolo aisi chup se baat badhegi, baat badhegi!

Ghulam Ali: Dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main

Dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main;
Kitana haseen gunaah kiye ja raha hoon main!

Gulashan-parast hoon mujhe gul hi nahi ajeez;
Kaanton se bhi nibaah kiye ja raha hoon main!

Yun zindagi guzaar raha hoon tere bagair;
Jaise koi gunaah kiye ja raha hoon main!

Na may ki aarazu hai na saaqi se koi kaam;
Aankhon se mast jaam piye ja raha hoon main!

Ghulam Ali: Dil mein ek laher si utthi hai abhi

Dil mein ek laher si utthi hai abhi;
Koi taaza hawa chali hai abhi!

Shor barpa hai khana-e-dil mein;
Koi deewar si giri hai abhi!

Kuchh to nazuk mizaaj hain hum bhi;
Our ye chote bhi nayi hai abhi!

Yaad ke be-nishaan jazeeron se;
Teri awaaz aa rahi hai abhi!

Shehar ki be-charaagh galiyon mein;
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi!

Gulam Ali: Dil apana mayakashi ka talabagaar bhi nahin

Dil apana mayakashi ka talabagaar bhi nahin
Han wo agar pilaayein to inkaar bhi nahin

Aad-e-wafa ki subaho ka kya zikr dosto
Aad-e-wafa ki subaho ke aasaar bhi nahin

Soon pada hai der se mayakaanaa-e-wafa
Saaqi ka zikr kya koyi mayakaar bhi nahin

Gulashan ujaad ho gaya duniya badal gayi
Kya dhuundhate ho gul ke yahaan kaar bhi nahin

Darshan na puuchho zulmat-e-duniyaa-e-aashiqi
Koi charaag ab to sar-e-daar bhi nahin

Ghulam Ali: Dekhkar dilkashi zamaane ki

Dekhkar dilkashi zamaane ki;
Aarzu hai fareb khaane ki!

Aye gam-e-zindagi na ho naaraaz;
Mujhko aadat hai muskuraane ki!

Zulmaton se na dar ke raste men
Roshani hai sharaabkhane ki!

As tere kesuon ko pyaar karu;
Raat hai mashalen jalaane ki!
देखकर दिलकशी ज़माने की, आरजू है फरेब खाने की;
ऐ गम-ए-जिंदगी न हो नाराज, मुझको आदत है मुस्कुराने की!
ज़ुल्मतों से न डर कि रास्ते में, रोशनी है शराबखाने की;
आ तेरे केसुओं को प्यार करूँ, रात है मशालें जलाने की...!

Ghulam Ali: Dekha idhar udhar to ye thokar lagi mujhe

Dekha idhar udhar to ye thokar lagi mujhe;
Apani hi chaap raah ka patthar lagi mujhe!

Bhadaka hua tha sholaa-e-ehasaas is qadar;
Sahara ki dhoop saaye se behatar lagi mujhe!

Taqasim ho gaya huun main kairaat ki tarah;
Duniya kisi faqir ki chaadar lagi mujhe!

Yun dil bujha ke kuun se uthane laga dhuvaan;
Uthate dhuvein ki lau tera paikar lagi mujhe!

Pathara chala hai jism bhi aankhon ke saath saath;
Wo zalb-e-intazaar 'muzaffar' lagi mujhe!

Ghulam Ali - Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai;
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai!

Khench lena voh mera parde ka kona da-fatan;
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai

Berukhi ke saath sunna darde dil ki daastan;
Woh kalaai main tera kangan ghumana yaad hai!

Waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne ke liye;
Woh tere sukhe labon ka thar-tharana yaad hai!

Aa gaya kal wasl ki shab bhi kahi zikr-e-firaaq;
Woh tera ro ro ke bhi mujhko rulana yaad hai!

Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye;
Vo tera kothe pe nange paaon aana yaad hai!

Ba-hazaran istirabo sad-hazaraan ishteyaque;
Mujhse vo pehle pehal dil ka lagana yaad hai!

Jaan kar hota tujhe wo kasad-e-pabosi mera;
Aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai!

Tujhko jab tanha kabhi pana to aj-raahe lihaaz;
Hale dil baton hi baton me jatana yaad hai!

Jab siwa mere tumhara koi diwana na tha;
Sach kaho kya tumko bhi wo kaarkhana yaad hai!

Ghulam Ali - Chamakte chand ko tuta hua tara bana dala

Chamakte chand ko tuta hua tara bana dala;
Meri aawargi ne mujhko aawara bana dala..!

Bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kahte hain…
Yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rahte hain…
Mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala…!

Main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun…
Na mujhse ban saka chhota sa ghar, din raat rota hun…
Khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala…!

Mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai…
Teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai…
Kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala...!

Yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha…
Mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha…
Mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala…!
_______________________________________________________
चमकते चाँद को टूटा हुआ तारा बना डाला;
मेरी आवारगी ने मुझको आवारा बना डाला..!

बड़ा दिलकश बड़ा रंगीन है ये शहर कहते हैं;
यहाँ पर हैं हज़ारों घर घरों में लोग रहते हैं;
मुझे इस शहर ने गलियों का बंजारा बना डाला..!

मेरे मालिक, मेरा दिल क्यूँ तड़पता है, सुलगता है;
तेरी मर्जी, तेरी मर्जी पे किसका जोर चलता है;
किसी को गुल, किसी को तूने अंगारा बना डाला..!

यही आगाज् था मेरा, यही अंजाम होना था;
मुझे बर्बाद होना था, मुझे नाकाम होना था;
मुझे तकदीर ने तकदीर का मारा बना डाला..!

Ghulam Ali: Chaaraagar gaya ho

Chaaraagar gaya ho jaise
Ab to marana bhi dawa ho jaise

Mujhase bichhada tha wo pahale bhi magar
Ab ke ye zakm naya ho jaise

Mere maathe pe tere pyaar ka hanth
Ruh par dast-e-saba ho jaise

Yun bahut hans ke mila tha lekin
Dil hi dil mein wo khafa ho jaise

चारागर गया हो जैसे;
अब तो मरना भी दावा हो जैसे!

मुझसे बिछड़ा था वो पहले भी मगर;
अब के ये जख्म नया हो जैसे!

मेरे माथे पर तेरे प्यार का हाँथ;
रूह पर दस्त-ए-सबा हो जैसे!

यूँ बहुत हंस के मिला था लेकिन;
दिल ही दिल में वो खफा हो जैसे..!

GHULAM ALI - Bin baarish barasaat na hogi

गुलाम अली – बिन बारिश बरशात ना होगी 

Bin baarish barasaat na hogi;
Raat gayi to raat na hogi!

Raaz-e-mohabbat tum mat punchho;
Mujhase to ye baat na hogi!

Kisase dil bahalaaoge tum;
Jis dam meri zaat na hogi..?

Ashq bhi ab naafaid huye hain;
Shaayad ab barasaat na hogi!

Yun dekhenge ' Aarif' usako;
Biich mein apani zaat na hogi!

GHULAM ALI - BIKHARTI ZULF KI PARCHHAIYAN MUJHE DEDO

गुलाम अली - बिखरती ज़ुल्फ़ की परछाईयाँ मुझे दे दो...

BIKHARTEE ZULF KI PARCHHAYIYAAN MUJHE DEDO!
TUM APNI SHAAAM KI TANHAAYIYAAN MUJEH DEDO!

YE LAHER LAHER BADAN TOOT HI NA JAYE KAHEEN;
KHUMAAR-E- HUSN KI ANGDAAYIYAAN MUJHE DEDO!

MAIN TUM KO YAAD KAROON AUR TUM CHALE AAO;
MUHABBATON KI YE SACHHAYIYAAN MUJHE DEDO!

MAIN DOOB JAAWOON TUMHAREE UDAAS AANKHON MEIN;
TUM APNE DARD KI GAHRAAYIYAAN MUJHE DEDO!

GHULAM ALI: Bhula bhi de use jo baat ho gayi pyaare

भुला भी दे उसे जो बात हो गयी प्यारे - गुलाम अली

Bhula bhi de use jo baat ho gayi pyaare;
Naye charaag jala raat ho gayi pyaare!

Na teri yaad na duniya ka gam na apana kayaal;
Ajib suurat-e-haalaat ho gayi pyaare!

Teri nigaah-e-pashemaan ko kaise dekhunga;
Kabhi jo tujhase mulaakaat ho gayi pyaare!

Kabhi kabhi teri yaadon ki saanwali rut men;
Bahe jo ashq to barasaat ho gayi pyaare!

Wafa ka naam na lega koyi zamaane men;
Ham-ahal-e-dil ko agar maat ho gayi pyaare!

GHULAM ALI: Bheed men ek ajanabi ka saamana achchha laga

भीड़ में एक अजनबी का सामना अच्छा लगा – गुलाम अली
Bheed mein ek ajanabi ka saamana achchha laga;
Sabase chhupakar wo kisi ka dekhana achchha laga!

Suramaai aankhon ke niche phul se khilane lage;
Kahate kahate kuch kisi ka sochana achchha laga!

Dil men kitane ahad baandhe the bhulaane ke liye;
Wo mila to sab iraade todana achchha laga!

Dushman-e-jaan hai par ‘Amajad’ main bura kaise kahun?
Jab bhi aaya saamane wo bewafa achchha laga..!

Ghulam Ali: Bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai

बहारों को चमन याद आ गया है - गुलाम अली

Bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai;
Mujhe wo gulabadan yaad aa gaya hai!

Lachakati shaakh ne jab sar uthaaya;
Kisi ka baankapan yaad aa gaya hai!

Teri suurat ko jab dekha hai main ne;
Uruuch-e-fiqr-o-fan yaad aa gaya hai!

Meri kaamoshi pe hansane waalon;
Mujhe wo kam-sukhan yaad aa gaya hai!

Mile wo ajanabi ban kar to 'Rafat';
Zamaane ka chalan yaad aa gaya hai!

Gulam Ali: Baalam mohe chhod ke na ja

 बालम मोहे छोड़ के ना जा - गुलाम अली
Baalam mohe chhod ke na ja
Main tose binati karat hoon

Tum bin saajan kachhu naahin bhaaye
Bin dekhe tohe chain na aaye
Sunaapan mohe det daraave
बालम मोहे छोड़ के ना जा;
मैं तोसे बिनती करत हूँ..!

तुम बिन साजन कुछ नहीं भाए;
बिन देखे तोहे, चैन ना आये;
सूनापन मोहे देत डरावे..!


Ghulam ALi: Baagon mein pade jhoole

बागों में पड़े झूले,
Baagon mein pade jhoole;
Tum bhool gaye hamako, ham tumako nahi bhoole!

Ye raks sitaaron ka;
Sun lo kabhi afsaana taqdeer ke maaron ka!

Saawan ka mahina hai;
Saajan se juda rah kar jeena bhi kya jeena hai!

Raavi ka kinaara hai;
Har mauj ke honthon par afsaana hamaara hai!

Ab aur na tadapaao;
Ya hamako bula bhejo ya aap chale aao!

Ghulam Ali: Aaj roothe hue sajan ko bohat yaad kiya

आज रूठे हुए साजन को बहुत याद किया

Aaj ruthe hue saajan ko bahut yaad kiya;
Apane ujade hue gulashan ko bahut yaad kiya..!

Jab kabhi gardish-e-taqadir ne ghera hai hamen;
Gesu-e-yaar ki ulajhan ko bahut yaad kiya..!

Jisake maathe pe nayi subaho ka jhumar hoga;
 Hamane us waqt ki dulhan ko bahut yaad kiya..!

Aaj tute hue sapanon ki bahut yaad aayi;
Aaj bite hue saawan ko bahut yaad kiya..!

Ham sar-e-toor bhi maayus-e-ta
s
alli hi rahe;
Us dar-e-yaar ki chilaman ko bahut yaad kiya..!

आज रूठे हुए साजन को बहुत याद किया;
अपने उजड़े हुए गुलशन को बहुत याद किया..!
 जब कभी गर्दिश-ए-तकदीर ने घेरा है मुझे;
गेंसू-ए-यार की उलझन को बहुत याद किया..!
जिसके माथे पे नयी सुबहों का झूमर होगा;
हमने उस वक्त की दुल्हन को बहुत याद किया..!
आज टूटे हुए सपनों की बहुत याद आयी;
आज बीते हुए सावन को बहुत याद किया..!
हम सर-ए-तूर भी मायूस-ए-तसल्ली ही रहे;
उस दर-ए-यार की चिलमन को बहुत याद किया..!

Ghulam Ali: Awaargi barange-tamasha buri nahi

आवारगी ब-रंग-ए-तमाशा बुरी नहीं

Awaaragi ba-rang-e-tamaasha buri nahin;
Zauq-e-nazar mile to ye duniya buri nahin;

Kahate hain teri zulf-e-parishaan ko zindagi;
Ai dost zindagi ki tamanna buri nahin;

Hai naakhuda ka meri tabaahi se waasta;
Main jaanata hun niyat-e-dariya buri nahin;

Is rahazan-e-hayaat zamaane se dur chal;
Mar bhi gaye to chaadar-e-sahara buri nahin;

आवारगी ब-रंग-ए-तमाशा बुरी नहीं;
जोक-ए-नज़र मिले तो ये दुनिया बुरी नहीं;
कहते हैन्तेरी ज़ुल्फ़-ए-परीशां को जिंदगी;
ऐ दोस्त जिंदगी की तमन्ना बुरी नहीं;
है नाखुदा का मेरी तबाही से वास्ता;
मैं जानता हूँ नियति-ए-दरिया बुरी नहीं;
इस रहज़न-ए-हयात ज़माने से दूर चल;
मर भी गये तो चादर-ए-सहरा बुरी नहीं!

Ghulam Ali: Ab aur kya kisi se marasim badhayen ham

अब और क्या किसी से मरासिम बढ़ाएं हम;

Ab aur kya kisi se maraasim badhaayen ham;
Ye bhi bahut hai tujhako agar bhul jaayen ham;

Is zindagi men itani faraagat kise nasib;
Itana na yaad aa ke tujhe bhul jaayen ham;

Tu itani dilazada to na thi ai shab-e-firaaq;
Aa tere raaste mein sitaare lutaayen ham;

Wo log ab kahaan hain jo kahate the kal ' faraaz';
Ai ai khuda na karana tujhe bhi rulaayen ham;

अब और क्या किसी से मरासिम बढ़ाएं हम;
ये भी बहुत है तुझको अगर भूल जाएँ हम;
इस जिंदगी में इतनी फरागत किसे नसीब;
इतना ना याद आ के तुझे भूल जाएँ हम;
तू इतनी दिलज़दा तो ना थी ऐ शब्-ए-फ़िराक;
आ तेरे रास्ते में सितारे लुटाएँ हम;
वो लोग अब कहाँ हैं जो कहते थे कल 'फराज़';
ऐ ऐ खुदा ना करना तुझे भी रुलाएं हम..!

Ghulam Ali: Abr barsa na hawa tez chali hai abke

अब्र बरसा ना हवा तेज़ चली है अबके
--------------------------------------------------------
Abr barasa na hawa tej chali hai abke;
Kitani wiraan teri yaadon ki gali hai abke;
(अब्र बरसा ना हवा तेज़ चली है अबके;
कितनी वीरान तेरी यादों की गली है अबके;) Kya kahu kitane bahaanon se bhulaaya hai use
Ye qayaamat badi mushkil se tali hai abke
(क्या कहूँ कितने बहानों से भुलाया है उसे;
ये क़यामत बड़ी मुश्किल से टली है अबके;)

Ya meri aankh ke kashkol men aansu chamaka;
Ya andhere mein koi shamma jali hai abke;
(या मेरी आँख के कशकोल में आँसू चमका;
या अँधेरे में कोई शम्मा जली है अबके; )

Kisko furasat hai dhu
n
wa dekhane jaaye ‘Mohasin’;
Jhopadi shahar se kuch door jali hai abke;
(किसको फुरसत है धुँवा देखने जाये ‘मोहसिन’;
झोपड़ी शहर से कुछ दूर जली है अबके..!)

Ghulam Ali: Apani tasvir ko aankhon se lagaata kya hai

अपनी तस्वीर को आँखों से लगाता क्या है
______________________________________________
Apani tasvir ko aankhon se lagaata kya hai?
Ik nazar meri taraf bhi tera jaata kya hai
?
(अपनी तस्वीर को आँखों से लगाता क्या है;
इक नजर मेरी तरफ भी, तेरा जाता क्या है..?)

Meri rusvaayi men wo bhi hain baraabar ke shariq;
Mere
kisse mere yaaron ko sunaata kya hai..?
(मेरी रुसवाई में वो भी हैं बराबर के शरीक;
मेरे किस्से मेरे यारों को सुनाता क्या है..?)

Paas rah kar bhi na pahachaan saka tu mujhako;
Door se dekh ke ab haath hilaata kya hai..?
(पास रहकर भी ना पहचान सका तु मुझको;
दूर से देख के अब हाँथ हिलाता क्या है..?)
Umr bhar apane girebaan se ulajhane wale;
Tu mujhe mere hi saaye se daraata kya hai..?
(उम्र भर अपने गिरेबान से उलझने वाले;
तू मुझे मेरे ही साये से डराता क्या है..?)

Main tera kuchh bhi nahin huun magar itana to bata;
Dekh kar mujhako tere zehan mein aata kya hai..?
(मैं तेरा कुछ भी नहीं हूँ, मगर इतना तो बता;
देखकर मुझको तेरे जेहन में आता क्या है..!)

Safar-e-shauq men kyun kanpate hain panv tere;
Door se dekh ke ab haath hilaata kya hai..?
(सफर.ए.शौक में क्यूँ कांपते हैं हाँथ तेरे?
दूर से देख के अब हाँथ हिलाता क्या है..?)

Mar gaye pyaas ke maare to utha abr-e-karam;
Bujh gayi bazm to ab shamma jalaata kya hai..?
(मर गये प्यास के मारे तो उठा अब्र-ए-करम;
बुझ गयी बज़्म तो अब शम्मा जलाता क्या है..?)

GHULAM ALI: APNI DHUN MEIN REHTA HUN

 गुलाम अली खान: अपनी धुन में रहता हूँ

 
Apni dhun men rehta hoon;
Mein bhi tere jaisa hoon;

O pecchlee rut ke saathi;
Abki Baras main tanha hoon;
Apni dhun men rehta hoon;
Mein bhi tere jaisa hoon;

Teri gali men sara din;
Dukh ke kankad chunta hoon;
Apni dhun men rehta hoon;
Mein bhi tere jaisa hoon;

Mera diya jalaye kuan;
Mai tera khali kamra hoon;
Apni dhun m
en rehta hoon;
Main bhi tere jaisa hoon;

Apni leher hai apna rooga;
Dariya hoon aur payasaa hoon;
Apni dhun men rehta hoon;
Mein bhi tere jaisa hoon;

Aati rut mujhe rulayegi;
Jaati rut ka jhonka hoon;
Apni dhoon men rehta hoon;
Mein bhi tere jaisa hoon;
अपनी धुन में रहता हूँ;
मैं भी तेरे जैसा हूँ;
ओ पिछली रूट के साथी;
अबकी बरस मैं तन्हा हूँ;
अपनी धुन में रहता हूँ;
मैं भी तेरे जैसा हूँ;
तेरी गली में सारा दिन;
दुख के कंकड़ चुनता हूँ;
अपनी धुन में रहता हूँ;
मैं भी तेरे जैसा हूँ;
मेरा दिया जलाये कौन;
मैं तेरा खाली कमरा हूँ;
अपनी धुन में रहता हूँ;
मैं भी तेरे जैसा हूँ;
अपनी लहर है अपना रूग;
दरिया हूँ और प्यासा हूँ;
अपनी धुन में रहता हूँ;
मैं भी तेरे जैसा हूँ;
आती रुत मुझे रुलायेगी;
जाती रुत का झोंका हूँ;
अपनी धुन में रहता हूँ;
मैं भी तेरे जैसा हूँ;