Khudai

  1. Din Aa Gaye Sabaab Ke Aanchal Sambhaaliye
    Hone Lagi Hai Shehar Mein Halchal Sambhaaliye
Chaliye Sambhal Sambhal Ke Kathin Rah-e-ishq Hai
Naazuk Badi Hai Aapki Paayal Sambhaaliye
Saj Dhaj Ke Aap Nikle Sare Raah Khair Ho
Takra Na Jaaye Aapka Paagal Sambhaaliye
Ghar Se Naa Jaao Door Kisi Ajnabi Ke Saath
Barsenge Jor-jor Se Baadal Sambhaaliye

  1. Ulfat Ka Jab Kisi Ne Liya Naam Ro Pade
    Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pade

    Har Shaam Ye Sawaal Mohabbat Se Kya Mila
    Har Shaam Ye Jawwab Ke Har Shaam Ro Pade

    Raah-e-wafa Mein Humko Khushi Ki Talaash Thee
    Do Gaam Hi Chale The Ke Har Gaam Ro Pade

    Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila
    Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pade
 
  1. Yeh Sheeshe Yeh Sapne, Yeh Rishte Yeh Dhage
    Kise Kya Khabar Hai, Kaha Tut Jaye
Mohabat Ke Dariya Mein, Tinke Wfa Ke,
Na Jane Yeh Kis Mod Par Doob Jaye
Ajab Dil Ki Wadi Ajab Dil Ki Basti
Har Ek Modh Mosam Nayi Khawisho Ka
Lagaye Hai Hamne Yeh Sapno Ke Podhe
Magar Kya Bharosa Yah Barisho Ka
Morado Ki Manjil Ke Sapno Mein Khoye
Mohabat Ki Raho Pe Ham Chal Pade The

Jara Door Chal Kar Jab Aakhe Kuli To
Kadi Dhoop Mein Hum Akele Khade The
Jinhe Dil Se Chaha Jinhe Dil Se Puja
Nazar Aa Rahe Hai Wohi Ajanabi Se
Rawayat Hai Sayaad Yeh Sadiyo Purani
Shikayat Nahi Hai Koi Zindagi Se